20140731

Waapsi

Raaton mein aksar
Nikal jaata hoon
Pichey waali raah se
Jo le jaati hai mujhe
Door
Bahut door
Is khala se
Is qaaynaat se hazaaron light years ki doori par

Jahaan janglaat hain
Jo saaya dete hain
Usi mein kisi ek darakt k saaye tale
Khol k potli apni
Dekhta hoon apne maal asbaab
Dhundhta hoon
Koi sitaara mand to nhi hua

Phir,ehsaas ki tudi mudi si dairy k pannon ko dekhta hoon
Beetey kal ki siyaahi ne
Kuchh lakiren kheenchi hain
Unhin ko sanjota hoon

Ekk albam bhi hai
Usi potli mein
Usmen bolti tasweeren hain
Unhin se kuchh baaten krta hoon

Phir
Neela taara aa jaata hai
Asmaa par
Bataata hai
Wqt ho gya
Waapsi ka

Kab tak

azaad hai bhaarat
Main kab houngi

Ling bhed ki zanzeeron se
Kab tak jakdi rahungi

Mere hissey ke khilaune
Bhai ko hain miley

Meri lori main kab tak
Chhutku ko sunati rahungi

Mera dudh ka glass
Baabu ko diya tumne

Sukhi roti pe main kab tak
Palti rahungi

Amma meri
Tum hi btalao na
Bitia bojh hai
Kab tak aur sunti rahungi

Lakshya

Shabdon se pare hain
Bandhte nhi yeh shabdon mein
Khushboo ki mafiq hote hain
Inki alag hi boli hai
Mumkin hi nhi samjhna inko
Yeh mann k kareeb hote hain
Inka apna alag hi jahaan hai
Jannat jise hm kehte hain
nahin hain yeh khoon ke
Yeh mann k rishtey hote hain

Wqt ne jitni ret bhari thi,rishtey ki khaatir,
Ret ghadi se jhar chuki
Time is over
Expiry date beet chuki

Wqt k raahgir rukte nhi raah mein
Jo thehrta hai
Chook jaata hai
Kahe ka thahrna
Lakshya agle hi mod pe hai
Aage badho
Manzil pa lo

Hansi tumhaari

Pooja ki thaal mein jale diya
waisi hi hansi tumhaari

Taptey jhulsate retili maru mein hawa ka jhonka
waisi hi hansi tumhaari

Andherey aakaash mein druvtaara
waisi hi hansi tumhaari

Dariya mein behti lehren
waisi hi hansi tumhaari

Galaxy ka kona kucha chhaani
par na mili jaisi hansi tumhaari

Jarzar hote mere jeevan mein
Nav urjaa bharti hansi tumhaari

रात चाँद


भूली हुई यादें हैं
जिन पर वक्त की गर्द की गहरी पर्त जम गयी थी
अब उन्हें एक एक कर के याद कर रहा हूं कहानियां अलग अलग हैं
मगर दिल में धंसा तीर अभी तक निकला नहीं है
रात तारों भरी है
जिसके बीच चांद पसरा हुआ है

ढलती शाम

सूरज छुप गया बादलों के टुकड़े में
शहर की छतों पसर गयी एक सावंली सी मंद रोशनी
दुख बीत जाता है
बीते नहीं तो मुश्किल होगा जीना
पूरा नहीं होता है सुख कभी
हो जाए तो आरजुएं अपना रोना रोने लगती हैं

20140726

Kali

ankhen ab sooni hain
soona h ab aangan mera
woh jo kali thi mere baagon ki
ankhon k ashqon k saath gumm gayi h kahin

Jaane kab

jaane kb
ayegaa woh wqt
woh sawli sloni si
jugnu ankhon waali
shahad jaisi hnsii waali
shahzaadi meri
jiski runjhun ki dhun
bajti h mere kaano mein abi se
jiski chhuan mehsoos krta hoon main abi se
kb ayegii woh us jahaan se
mere jahaan tk
kb ayegii kb ayegii

20140724

Woh

Woh
Ekk kali nanhi si
Mili thi mujhko ekk din
Swarg ki apsra jaisi

Roshni chhitke
Jab woh muskaye

Chaandni bikhre
Jab woh khilkhilaye

Baaten hain uski
Chaashni jaise

Alag hi roop hai
Aangan mein jaise
Sardi ki dhoop hai

Laadli baabul ki
Bhaiya ka khilauna

Hai woh pa ki bitia
Maiya ka gehna

Pyaar ki tasveer hai woh
Dekha tha ek khwaab jo
Uski taabir hai woh

Yaad to nahin

Table pe rakhkhi thi shaayad
Ya phir
Sirhaane ke neeche
Ya
Aalmaari ke upar

Bhool sa gya hoon
Par
Dhoondh raha hoon

Na jaane kya
Talaash rha hoon

Koi benaam si cheez hai
Ya
Berang sa koi lmhaa
Yaad to nahin
Tanik sa bhi

Magar
Ab bhi dhoondhta hoon
Bhatakta hoon

Tum bhool gaye ho shaayad

20140723

Paagal khayaal

Ekk din ki khaatir
Fail jaati mahamaari
Mahamaari khushi ki

Saari jalbaazi fenk aate
Kude mein
Odh lete itminaan ko
Chaadar k maafiq
Ya
Kisi darakht k saaye mein
Pasandida geet sunte

Apnapan behta
Paani ki jagha
Baarishon se
Baha le jaata
Saare ghrina dwesh ko
Nestnaboot kar deta

Par
Yeh ekk khayaal hai
Ekk paagal khayaal

20140722

शैतान बच्चे

आकाश की गोदी में बैठे
बादलों के छोटे छोटे बच्चे
बात बात पर रोने लगते हैं
शैतान बच्चे

बाकी है

अभी बहुत कुछ देखना बाकी है
दिमाग के दरवाजे से टहलते हुए
शायद कई बातें और आयेंगी

रिश्ते

सेकंड हैन्ड चीजों का निर्जीव होना शायद हम सबके लिये अच्छा है
जैसे पुराने खत्म हो चुके रिश्तों का नये रिश्तों की शुरुआत में कहीं दफन हो जाना
आप लाख चाहें रिश्ते कभी सेकंड हैन्ड नहीं हो सकते

अजनबी

आदमी खुद
कितना अजनबी है इस शहर के लिये
दौड़ता भागता
पर बाकियों के लिये अस्तित्व हीन
हवा का वो आंखिरी हिस्सा
जो किसी को महसूस तक नहीं होता

20140713

Khuda

Zahaan saara jisne bnaya
Hai jiski nigehbaani
Saari duniya pe
Logon se suna hai
Door aasmaa mein
Rehta hai
Khuda kehte hain usko

Aao
Sidhi lga k dhundhe usko
Kaam ki thakan se choor ho k
Aasmaa k kisi kone mein
Soya hai aaj kal

20140712

00:02

शराब
न बोतल में बची है
न गिलास में
सिगरेट का डिब्बा भी खाली
बची है तो राख
बुझी हुई सिगरेट
खाली गिलास
माचिस की तीलियां
कैलेंडर का एक और पन्ना
फडफडा रहा है
00:02 बता रही है
दीवार की घड़ी

20140704

ताकि

गैलेक्सी के उस छोर से
जहां सन्नाटा है
ना हवा है
ना रौशनी ही पहुँच पायी जहां आज तलक

उसी किनारे से
गैलेक्सी के
इक मध्धम सी
बारीक सी
आवाज़ की परछाईं

गैलेक्सी के अनगिनत उल्काओं
तारों से टकराती
बचती बचाती
किसी सुदूर अनजाने जगह
जहाँ से नयी भोर निकलती है रोजाना

वह जगह जिसके स्वप्न देखता है हर कोई
वोह जगह
जिसका साइंस को भी
ज्ञान नही अब तक

पहुँचना चाहती है
उसी जगह

ताकि ले आ सके
इक मुठ्ठी भर ही सही
रौशनी

गैलेक्सी का वो सुदूर कोना भी
रोशन हो सके

20140701

एक धक्का

एक था ताला खोलने वाला
बहुत माहिर
इतना के कुछ एक पल में ही बड़े से बड़ा ताला खोल देता

उसी समय एक जेल बनी थी
जेलर ने उसे चुनौती दी
इस जेल के ताले खोल के दिखाओ
तो माने

उसने चुनौती स्वीकार कर ली
उसे जेल की एक कोठरी में डाल दिया गया
वह तुरंत ही अपने काम में जुट गया

आधा घंटा बिता
वह तरबतर हो गया पसीने से

एक घंटा बिता

दो घंटे बाद
जब दरवाजा खोला गया

वह थक कर एक किनारे पड़ा था

.............

असल में जेलर ने ताला बंद ही नहीं किया था
पर उसके दिमाग में ताला बंद था
उसने सारी तरकीब लगा दी उस ताले को खोलने में
जो बंद था ही नही
एक हल्का सा धक्का
दरवाजा खुल जाता

कुछ ऐसे ही ताले हमारे दिमाग में हैं

जैसे
मैं ये काम नही कर सकती
कल का exam बड़ा मुश्किल है
.....

तो
ताले बंद नही है
बस
हमने बंद किया है
खुद ही
एक धक्का
बस........