20141008

sansaar

dekh kar iss sansaar ko jee chahta hai lagaun main thahakaa
jahaan bhi dekhta hoon wahin nazar aati hai berang duniyaa,
sabhii chale jaa rahen
naa jaane kidhar
ankhen band kiye andhon ki tarha,
dekh kar yeh manzar sochta hoon
 anndhe inn ankh walon se hai behtar,
sabhii badhe ja rahe hain hodd mein
aur duniya
woh to meri tarha tamashbeen hai
dekhti hai sab,
aur badd jaati hai apne kaam par..

No comments:

Post a Comment