20141008

shaayad

tumharii tanhaii ka,
tumhari baaton ka,
koi jawaab nahin hai mere paas,

main to bass apnii tanhaii mitane tumhare paas aaya thaa,
sochaa thaa tumse baaten karke mitt jaaye merii tanhaii shaayad,

milaa jo tumse to tumko bhii khudd saa hii paaya,

abb bhataktaa hoon aawaara saa
kisii aur kii talaash mein,

koi to mile raah-e-zindagii mein

kahin,kisii ke paas to jawaab hogaa
 merii tanhaii kaa shaayad.

No comments:

Post a Comment